Monday, July 25, 2011

Love Poetry SMS messages

Saturday, July 16, 2011

Baaton baton mein

Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k
Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k

Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k

Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay
Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay

Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka
Aur kuch rooz teray sath guzara ker k

Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin
Daikhtay hain yeh aziat gawara ker k

kaha usny

kaha usny,"zamana dard ha aur tum dawa jsy"
laga,"tumsy mohabbat ha"mujy usny kaha jsy...

talab ki usny jab mujsy mohabbat ki wazahat to
bataya dasht k honton py barish ki dua jesy.......

suno,"kio dil ki basti ki taraf sy shor uthta ha?"
bataya,"hadsa ahsas k ghar mei hua jesy"........

kaho ay gul,"kbhi khusboo ka tumny aks dekha ha?"
kaha,"qos-e-qazah k sary rangon ki sada jesy'.......

bhala tum rooh ki in kirchion mein dhondty kia ho?
kaha,"ye itni roshan hen k sooraj ha diya jesy"......

suno,"aankhon hi aankhon ka bayan ksa laga tumko?"
laga,"phoolon sy sargoshi si karti ho saba jesy"........!!

Teri yaad nay

Teri yaad nay meray dil ko saja rakha hai
teray pyar main sab ko bhula rakha hai

kuch acha nahin legta teri judai kay baad
ek teri yaad ko sinay say laga rakha hai

tera milna to abb aik khawab hi lagta hai
najanay abb kyoon dil ko bhula rakha hai

sab kuch lut gaya hamara teray pyar main
teri yaad ko palkoon main chupa rakha hai

muqadar say miltay hain bichar kay warna
ajj bhi tera naam dil main saja rakha hai

najanay koi nahin basta teray siva ankh main
aik teri tasveer ko dil main chupa rakha hai

Band Dareechy

Band Dareechy Sooni Galiyan,Un'dekhy Anjane Log!
Kis Nagri Mein Aa Nikly Hain,pagal Hum Deewane Log!
Ek Hum Hi Na'waqif Thehry,Roop Nagar Ki Galiyon Se!
Bhais Badal Kar Milny Wale,Sab Jaane Pehchane Log!
Shikwa Kya Aur Shikayt Kaisi? Aakhir Kuch Bunyad To Ho!
Tum Par Mera Haq Hi Kya Hai? Hum Thehry Begaane Log!
Shehar Kahan Khaali Rehta Hai,Yeh Darya Har Dum Behta Hai!
Aur Bohat Se Mil Jayenge,Hum Jaise Deewane Log!!!!!!!!

WAFA HAI ZAAT

Wo Aksar Mujh Se Kehti Thi..

"WAFA HAI ZAAT AURAT KI"

Magar Jo Mard Hote Hain"
Bohat Be-Dard Hote Hain"
Kisi Bhanwry Ki Sorat Gul Ki Khushbu Loot
Jate Hain"

Suno..!
Tum Ko Kasam Meri"
Riwayat Torr Dena Tum"
Na Tanha Chor K Jana"
Na Ye Dil Torr K Jana"

Magar Phir Yun Huwa
"Mohsin"

Mujhe Anjaan Raste Par"

Akela Chor Kar Usne"
Mera Dil Torr Kar Usne"

MUHABBAT
Chor Di Usne"

"WAFA HAI ZAAT AURAT KI"

Riwayat Torr Di Usne'

Samandar main

Samandar main utarta hoon tou aankhain bheeg jaati hain
teri aankhoun ko parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

tumhaara naam likhney ki ijaazat chin gayi jub say
koi bhi lafz likhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

teri yaadoun ki khushboo khirkiyoun main raqs karti hay
teray gham main sulagta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

main huns k jhail laita hoon judaayi ki sub hee rasmain
galey jub us k lagta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

najaaney hogaya hoon isqadar hassaas main kub say
kisi say baat karta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

woh sub guzrey huay lamhaat mujh ko yaad aatey hain
tumhaarey khut jo parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

main saara din bohat masroof rehta hoon magar joonhi
qadam chaukhat pay rakhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

hur ik muflis k maathey par alam ki daastaanain hain
koi chehra bhi parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

barey logoun k oonchey budnuma or sard mehloun ko
ghareeb aankhoun say takta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

teray koochey say ab mera talluq waajibi sa hay
magar jub bhi guzarta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

hazaaroun mausamoun ki hukmraani hay meray dil par
wasi main jub bhi hunsta hoon tou aankhain bheeg jaati hain!!!

Woh kehti hai

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?
main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta.

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?
main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..

Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai?
main kehta hon, muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti.

Woh kehti hai k janan! lehjay main bohat udaasiyat si hai?
main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai.

Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?
main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi.

Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?
main kehta hon k mairi ankhon ko har waqt ki phoowar achi lagti hai.

Woh kehti hai k tumhari baaton main itni gehrai q hai?
main kehta hon k teri judai k baad mujh ko yeh aizaaz mila haI....

Aaj To Hum Maut K

Aaj To Hum Maut K
Aaj To Hum Maut Ki Dua Kar Ke Roye Hain

Dobara Aaj Khuda Se Gila Kar Ke Roye Hain

Kyon Na Likh Saka Tu Us Ko Taqdeer Mein Meri

Yeh Aik Khayal Soch Kar Phir Hum Roye Hain.

Sapne Ki Tarah Aakar Chale Gaye

Gamo Ki Neend Sulakar Chale Gaye

Kis Bhool Ki Saza Di Humko??

Pehle Hasaya Aur Fir Rulakar Chale Gaye. Hum ko to muskranay ki Aadat si hai

Ansoon ko Chupanay ki Aadat si hai

Duwa na hi Dawa Kaam kerti Hai hum per..

Ab to Zakhm Khanay ki Aadat si Hai..

Paane se khone ka maza aur hai

Bandh aankhon main rone ka maza aur hai

Aansoo bane lafz aur lafz bane ghazal

aur uss ghazal main tere hone ka maza aur hai

love u forever

Thursday, July 14, 2011

Aisi lagi udaas

=> Aisi lagi udaas sar-E-shaam zindagi,
Jaisay kisi ki aankh ka ilzam zindagi.
=> Apne jahan main daikha tere baad kuch nehi,
Hum ne laga di aaj tere naam zindagi.
=> Jis k bina ye saans mujhay doobti lagi,
Ja k usay bhi dhoond kisi shaam zindagi.
=> Ye pyar dard na ban sakay jis k nashay main,
Mujh ko pila de aaj wohi jaam zindagi.
=> Ab doston k haath mere haath main nahi,
Girnay laga hoon aaj mujhay thaam ZINDAGI....!!

Lo Suno Zindagi Ki

Lo Suno Zindagi Ki Dastan Meri,
Meri Aankh May
JhaLak Teri,
Meri Sans May Mehek Teri,
Mere Guman May Wehem Tera,
Meri neend May Khuwab Tera,
Mere "DIL" May Dharkan Teri,
Mere Jism May Rooh Teri,
Mere SOG Me ROG Tera,
Mere Dard May Khof Tera,
Meri Tanhaie May Baaten Teri,
Mere Hathon May Lams Tera,
Mere Khyal May Jeet Teri,
Mere "ISHQ" May Baazi Teri,
Lo Suno Zindgi Ki Dastan Meri,
May Tera Or Meri Muhabbbt B Teri.

Lo Suno Zindagi Ki

Lo Suno Zindagi Ki Dastan Meri,
Meri Aankh May
JhaLak Teri,
Meri Sans May Mehek Teri,
Mere Guman May Wehem Tera,
Meri neend May Khuwab Tera,
Mere "DIL" May Dharkan Teri,
Mere Jism May Rooh Teri,
Mere SOG Me ROG Tera,
Mere Dard May Khof Tera,
Meri Tanhaie May Baaten Teri,
Mere Hathon May Lams Tera,
Mere Khyal May Jeet Teri,
Mere "ISHQ" May Baazi Teri,
Lo Suno Zindgi Ki Dastan Meri,
May Tera Or Meri Muhabbbt B Teri.

Kyun mohabbat ka kaam kaaj kiya

" Kyun mohabbat ka kaam kaaj kiya..
" Apna dushman yunhi samaaj kiya..
" Tu ne so baar dil ko torh diya..
" Hum ne phir B na ehtejaaj kiya..
" Tujh se mil kar B ro parhe hain Hum..
" Kaam kal ka B Hum ne aaj kiya..
" Khak hai aysi baadshahat par..
" Tere dil par agar na raaj kiya..
" Tujh ko dekha to ban gaye shaair..
" Aur apna gazal mizaaj kiya..
" Hum ne aysi gazal kahi "Baqi"
" Pesh sab ne Hamein khiraaj kiya..

Yun sitamgar nahi hote jana

Yun sitamgar nahi hote jana.
Phool,Pathar nahi hote jana.

Q Mere dil se kahen jate ho.

Ghar se be ghar nahi hote jana.

Visal ki shab jo karam tumne kiye.

Q mukarar nahi hote jana.

Hum tumhen Bot ki tarah poojte hain!

Phir B kafir nahi hote jana.

Gham k deepak nahi jalte jab tak.

Dil munawar nahi hote jana.

Aik jese hain khushi k lamhe.

Dukh bara bar nahi hote jana.

Is qadar khoon na bahana dil ka.

Dil samandar nahi hote jana.

Kuch yadein hain un lmhon ki,

Kuch yadein hain un lmhon ki,

jin lamhon me ham sath rahe,


khushyon se bhare jazbat rahe,


ek umar guzari ha hmne,


jahan rote hue bhi hanste the,


kuch khte the,


kuch sunte the,


ham rOz subha jab milte the,


to sab ke chehre khilte the,


pur lutf wo manzer hota tha,


sab mil kar batain krte the,


ham socho kitna hanste the!


woh goonjh hmare hansne ki,


aB aik purani yad bani,


yeh batain hain un lamhon ki


jin lamhon me hm sath rahe!!

Taskeen na ho jis se wo

Taskeen na ho jis se wo RAAZ BADAL DALO

Jo Raaz na Rakh paye HAMRAAZ BADAL DALO


Tum ne b suni hogi Bari Aam kahawat hai


Anjaam ka ho khatra AGHAZ BADAL DALO


Pur soz Dilon ko jo Muskan na de paye ANDAZ BADAL DALO


Ae Dost karo Himmat kuch door Sawera hai


Gar Chahte ho Manzil to PARWAAZ BADAL DALO.

Tere naam ki thi jo roshni

Tere naam ki thi jo roshni
Usay khud hi tu ne bujha diya
Na jala saki jise dhoop b
Usay chandni ne jala diya
Main hoon grdishon mein ghira howa
Muje aap apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha mera rahnuma
Usay raaston me ganwa diya
Jo teri nazar me ajeeb tha
Wohi shakhs tera habib tha
Tere hath ki wo lakeer tha
Usy hath se hi mita diya
Mujhe ishq hai k janun hai
Abi fesla nahi hosaka
Mera naam zenat-e-dasht tha
Mujhe aandhiyon ne mita diya..

Haqiqat ashna mere,

Haqiqat ashna mere,
Tujhe shayad khabar ho gi?
Mujhe teri mohabbt ne,
Bohot buzdil bna dala,
Main hr us shay se darte hoon,
Tujhe jo cheen sakti hay,
Main un lamhon se darte hoon,
Judaie jin may rehti hay,
Main un ashkon se darta hoon,
Jo ban kr yad behte hen,
Main un lafzon se darta hoon,
Jo khamoshi me rhte hen,
Bicharne ki mere ham-dam,
May hr surat se darta hoon,
Tujhe shayad khabar ho gi?
Mujhe teri mohabbat ne
Bohot Buzdil Bana Dala.

Tere Ikhlaas Sy MOHABBAT

Tere Ikhlaas Sy MOHABBAT Ki Hy
Tere Ehsas Sy MOHABBAT Ki Hy

Tu Mere Paas Nahi Hy Phir Bhi
Main Ny Teri Yaad Sy MOHABBAT Ki Hy

Kabhoi Tu Ny Bhi Mujhy Yaad Kia Hoga
Main Ny Un Lamhat Sy MOHABBAT Ki Hy

JinMain Hon Sirf Teri Aur Meri Baatei'n
Main Ny Us Waqt Sy MOHABBAT Ki Hy

Aur Jo Mehalty Hon Teri MOHABBAT Sy
Main Ny Un Jazbat Sy MOHABBAT Ki Hy

Tujh Sy Milna Tou Ab Haqiqat Sa Lagta Hy
MainNy Tere INtizar Sy MOHABBAT Ki Hy

Kabhi Un ka Naam

Kabhi Un ka Naam Lena
Kabhi Un Ki Baat Kerna
Mera Zauq Un Ki Chahat
Mera Shauq Un Pe Marna
Kabhi Chalte Chalte Thamna
Aur Tham k Beth Jana
Kabhi Larkhara k Girna
Aur Gir K Phir Sambhalna
Kabhi Raat Raat Rona
Kabhi Din Charhey Sisakna
Kabhi Darya Darya Rehna
Kabhi Boondh Ko Tarasna
Hamesha Koi Wasta Hy Apna
YEHI ZINDAGI HY APNI
YEHI RASTA HY APNA ...!!!

Taskeen na h0 jis sy w0 raaz badal dal0

Taskeen na h0 jis sy w0 raaz badal dal0,

J0 raaz na rakh pa'ay hamraaz badal dalo,


Tum ny bhi suni h0gi bari aam kahaawat hai,


Aanjam ka h0 khatra t0u aaghaaz badal dal0,


Pur s0z Dil0n k0 j0 muskaan na dy pa'ay,


Sur he na milly jis main w0 saaz badal dal0,


Dushman kay irrad0n k0 hai zey'rr agar karna,


Tum khel w0hi khel0 andaaz badal dal0,


Ay D0st kar0 himmat kuch door sawera hai,


Gar chahtay h0 manzil t0u parwaaz badal dalo.


Zindagi Mli Zra Si Thi

Zindagi Mli Zra Si Thi"

Kuch Is Me Kami Zra Si Thi"

Wo Roz Hota Gya Paas Mere!

Lekin Phir Bhi Doori Zra Si Thi"

Chand Jagte Jagte So B Gaya!

Raat Abi Beeti Zra Si Thi"

Qasoor Chashm-e-Awara Ka Zyada Tha!

Meri To Marzi Zra Si Thi"

Mohbat Bant Di Us Ne Zamane Me!

Jo Mere Hisey Me Ayi

" ZRA SI THI"

Kyu Photee Taqdeer

Kyu Photee Taqdeer Meri

Kyu Rhoote Kismat Meri

Kyu Choote Duniya Meri

Kyu Aankhen Huwe Nam Meri

Kyu Wo Wada Tor Gaya

Kyu Apna Bana Ka Chor Gaya

Kyu Huwa Mera Sath Yah

Kyu Khoya Mena Pyar Yah

Kyu Wo Mujhy Mil Na Saka

Kyu Yah Dil Us Ka Ho Kar Be Ho N Saka

Kyu Mena Pyar Kiya

Kyu Apne Zindagi Ko Barbad Kiya

Har Khushi Mil Jay

Har Khushi Mil Jay App Ko

Har Dua Lag Jay App Ko

Har Hussan Saj Jay App Ko

Har Wada Yakeen Dey App Ko

Har Ghum Bhula Dey App Ko

Dil Ke Arzoo Hai Kise Tarha Bhool Jawo App Ko

Na Kuch Dey Saka To Dua Dey Jawo App Ko..!

Mojhe to yad thy sab

Mojhe to yad thy sab ghm shmar karta raha

''Khzan ny aa lea jab bharr karta raha''

MOJHE MALOM THA AB NAHEN AYE GA WO

''Mein be waja us ka inthzar karta raha''

Woh Mojhy khyab daykhata raha ohnch ohnch

''Mein bh pagal tha ky bas atbar karta raha''

Is sy bhr kar bh bhla or satam kia ho ga 'sham'

Mein yahan rota raha woh sanghar karta raha.'

Itna toota hon k

Itna toota hon k chonay se bikher jaon ga
Ab agar aur azmao gay to mar jaon ga''


Phool reh jain gay faqat guldanoon ki nazar''


Main to khushbo hoon hawaoon main bikher jaon ga''


Eik aarzi musafar hon main teri kashti main.''


Tu jahan muj se kahay ga main uter jaon ga''


Hath pukro gay to saya ban k sath rahon ga.''


Hath choro ge to hamesha k liye bicher jaon ga.''

Ab tery mery bech zara fasla bh ho

Ab tery mery bech zara fasla bh ho"
Ham log jab Melin to koi dosra bh ho"

Tu janta nai meri cahatsh ajeeb hay"
Moj ko mana raha hay kabhe khud khfa bh ho"

Tu bewafa nai magar be-wafai kar"
us ki nazar men rahny ka koch silsala bh ho"

C'hup chap us ko beth ky Daykhun tumam rat"
Jaga howa bh ho koi soya howa bh ho"

Us ky leye tu mein ny yahan tak Duayn kien"§
Meri tarah sy koi uye cahata bh ho.

Agr yaqeen nhen ata to

Agr yaqeen nhen ata to azmaye mojhe"

"woh Ayna hy to phr Ayna dkhaye mojhe"

ejhab carag hun din rat jalta rhta hun"

mein takh geya hun howa se kaho bojhay mojhe"

Mein jis ki ankh ka ansso tha us ny qadr na ki"

Bekhr gia hun to reet se uthaye
mojhe"

Bohat dino se mein in pathrun mein pathr hun"

koi to aye zara darr rolaye mojhe"

Mein chahta hun ky tum he mojhe ajazat do"

Tumhari tara se koi galy lagaye mojhe

Zamane Sa Hara Ho Apni Taqdeer Par

Zamane Sa Hara Ho Apni Taqdeer Par Ga Raha Ho


Sawan Ma Barsat Zarore Hai

Mare Zindagi Ma App Zarore Hai

Tufaa Ma Kinara Zarore Hai

Humay App Ko Apnana Zarore Hai

Dobtay Ko Kinara Zarore Hai

App Ka Hum Sa Mil Jana Zarore Hai

Aaghaz Hai To Anjam Zarore Hai

Mera Kismet Ma App Ka Aana Zarore Hai

Taqdeer Ka Faisla Kya Ho! Magar

App Sa Bichar Kar Hamara Mar Jana Zarore Hai…!

Zamane Sa Hara Ho Apni Taqdeer Par Ga Raha Ho

Zamane Sa Hara Ho Apni Taqdeer Par Ga Raha Ho

Sawan Ma Barsat Zarore Hai

Mare Zindagi Ma App Zarore Hai

Tufaa Ma Kinara Zarore Hai

Humay App Ko Apnana Zarore Hai

Dobtay Ko Kinara Zarore Hai

App Ka Hum Sa Mil Jana Zarore Hai

Aaghaz Hai To Anjam Zarore Hai

Mera Kismet Ma App Ka Aana Zarore Hai

Taqdeer Ka Faisla Kya Ho! Magar

App Sa Bichar Kar Hamara Mar Jana Zarore Hai…!

Tumhei’n Yaad Hy Jaana’n

Tumhei’n Yaad Hy
Jaana’n

Guzishta Saal December
Mein

Isi Terha Ka Mausam Tha

Jab Tum Ne Kaha Tha
Mujh Se

Chalo Hum Naam
Badalty Hyn

Koi Ache Se Farzi Naam

Rakho Tum Apne Aur Mere

Haan

Us Waqt Tumhai Baat

Main Ne An-suni Ker Di

Magar

Jab Se lagi Hy Thokar

Tou Ab Kuch Naam
Zehen Mein Aaye Hyn

Aaj Isi ‘December’ Mein

Mera Naam Aaj Se
“TANHA”

Aur

Tumhra Naam “MAUSAM”
Hy

k

‘TANHA” Anaa-Parast
Thehra

Aur

“MAUSAM” Be-wafa Jaana’n

Apna Dard Barha

Apna Dard Barha Layta Hoon
Us Ko Pass Bul Layta Hoon
Us Ko Jab Bhi Dhundhnay Niklon
Apna Aap Ganwa Dayta Hoon
Sab Say Juda Rehnay Ki Khatir
Sab Ko Dost Bana Layta Hoon
Jungal Rah Main Aa Jaye Tu
Maa Ke Ak Dua Layta Hoon
Sari Baat Kar Kay Bhi Main
Us Ki Baat Chupa Layta Hoon
Har Ak Kaam Main Jaldi Kar Kay
Har Ak Kaam Barha Layta Hoon
Wo Tu Wo Hay Saad Main Aksar
Khud Say Dhoka Kha Layta Hoon

Hoti nahi wafa, to jafa hi kiya karo

Hoti nahi wafa, to jafa hi kiya karo
Tum bhi to koi rasm-e-mohaabat ada karo
Hum tum pay mar mittay to ye kiska qasoor hay?
Aaeina lay kay hath main khud faisala karo
Ab un pay koi baat ka hota nahi asar
Minnat karo, sawaal karo, iltija karo
Sharminda hoon kay maut bhi aati nahi mujhay
Tum mairay liye ab to koi bad’dua karo
Baitho na mehfilon main zamana kharab hay
Daikho hamaari baat kabhi sun liya karo
Shahid kabhi to daikhay ga wo tumko jhaank kar
Un ki gali main roz tamaasha kiya karo

Muhabbat is tarah jaise gulabi titliyon k pr

“Muhabbat is tarah jaise gulabi titliyon k pr,
“Mohabat zindgani ki jabeen-e-naz ka jhoomr,
“Muhabbat arzoo ki seep ka anmol sa gohar,
“Mohabat aas ki dhoop me umeed ki chaadar,
“Mohabat hi tery gesu,
teri palken,
teri ankhen,
“Mohabat he teri baaten,
Mohabat he tmhary hijar ki or wisl ki raaten,
“Mohabat he teri dharkan,
Mohabat he teri saansen,
“Mohabat tmhari baat jesi he,
“Mohabat ko agar samjho, to tmhari zaat jesi he…!

Mere Sathi Muj ko chor chale



Mere Sathi Muj ko chor chale

Me Tanha hun Akash tale

Mere Sathi Mere Apne the

Kuch Mere b to Sapne the

Mere Sapne Mere Apne the

Mere Sapne Apne tor chale

Me Tanha hun Akash tale

Sab tori Duniya ki Rasmain

Khai Sath Jine Marne Ki Qasmain

Meri Mayyat hy Tyar Pari

Koi use kaho Mere Sath chale

Me Tanha hun Akash tale

Kuch dair tu uska sath mile

yun Mera Dil Sarshar Rahe

Ab Dil ki Halat aesi hy

Bas Lout Aao k Sans Chale

Me Tanha hun Akash tale.

Urdu Ghazal

" Sab jaanti hoon magar phir bhi "





Sab jaanti hoon magar phir bhi.
Kyun tumko bhula nahin paati.

Is dil se teri tasveer hata nahin paati.
Muskurane ki koshish karti hoon lekin.

Ankhon ke motiyon ko chupa nahin paati.
Jab sochti hoon ki.

Tum ho kisi aur ka muqaddar.
Jalan si hoti jise mita nahin paati.

Jab barasta hai saawan toot ke kahin.
Yeh aankhain bhi ek dariya bahati hain.

Sulagti hai rooh teri ek jhalak ko.
Is khwaaish se main dil ko bacha nahin paati...!!!