Thursday, July 14, 2011

Aisi lagi udaas

=> Aisi lagi udaas sar-E-shaam zindagi,
Jaisay kisi ki aankh ka ilzam zindagi.
=> Apne jahan main daikha tere baad kuch nehi,
Hum ne laga di aaj tere naam zindagi.
=> Jis k bina ye saans mujhay doobti lagi,
Ja k usay bhi dhoond kisi shaam zindagi.
=> Ye pyar dard na ban sakay jis k nashay main,
Mujh ko pila de aaj wohi jaam zindagi.
=> Ab doston k haath mere haath main nahi,
Girnay laga hoon aaj mujhay thaam ZINDAGI....!!