Thursday, July 14, 2011

Hoti nahi wafa, to jafa hi kiya karo

Hoti nahi wafa, to jafa hi kiya karo
Tum bhi to koi rasm-e-mohaabat ada karo
Hum tum pay mar mittay to ye kiska qasoor hay?
Aaeina lay kay hath main khud faisala karo
Ab un pay koi baat ka hota nahi asar
Minnat karo, sawaal karo, iltija karo
Sharminda hoon kay maut bhi aati nahi mujhay
Tum mairay liye ab to koi bad’dua karo
Baitho na mehfilon main zamana kharab hay
Daikho hamaari baat kabhi sun liya karo
Shahid kabhi to daikhay ga wo tumko jhaank kar
Un ki gali main roz tamaasha kiya karo